- Mrityu jivan ka aunt hai, yah unki ray hai, jo jite nahin, jinhe jina padta hai !
- Mrityu jivan ki vivasta hai, ye unki ray hai, jinhe jina nahin aata !
- Mrityu jivan ka mulya hai, yah unki ray hai, jinhe jivan ka gyan hai.
- Mrityu se ham aupne jivan ka mulya vasool karenge, yah unki ghosna hai, jo jivan ko jine ki tarah jite hain, bhar ki tarah dhote nahi hain !
- Inke liye mrityu jivan ka pura mitra hai aur yon ki vahi hai, jo jivan ko sachha jivan banati hai !
- Mrityu use khati hai jo usse darta hai aur use khilati hai, jo aupne kadmo uske dwar aa pukarta hai !
-Kanhaiyalal Mishra Prabhakar